Dil dharakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhaalna
tu musibat mein ajab yaad aaya
din guzaaraa thaa bari mushkil se
phir tera vaadaa-e-shab yaad aaya
haal-e-dil ham bhi sunaate lekin
jab wo rukhsat hue tab yaad aaya |