Guzro na iss tarah ke tamaasha nahin hu mein
samjho ke ab hu aur dobaara nahin hu mein
tumne bhi mere saath uthaaye hai dukh bohat
khush hu ke raah-e-shoq mein tanha nahin hu mein
peechey na bhaag waqt ki ae nashnaas dhoop
saayo ke darmiyaan hu saaya nahin hu mein. |