Yun hi intezar karta raha or waqt dhalta raha
Mere intezar ka sooraj her lamha pighalta raha..
Tay to yeh hua tha key payen gay aik hi manzil
Beech rah main woh mukar geya soo-e-manzil main chalta raha
kabi us key liye hans diye kabi us key liye ro diye
Wo khud ko to na badal saki bus mujh ko he badalti rahi
Ab tak kaise chup raha yeh mut pooch AshFaq
Waqt mujhay behlata raha or main behelta raha.
|